Vishnu bhagwan ki aarti lyrics
Lord Vishnu known as the creater of universe. Lord Vishnu aarti is denoted by the devotees.
Om Jai Jagdish Hare Aarti is best way to chant Lord Vishnu name.
Also Check down the link down the post to download Vishnu Bhagwan Ki aarti in PDF format
Om Jai Jagadish Hare, Swami Jai Jagadish Hare
Bhakt Jano Ke Sankat, Daas Jano Ke Sankat,
Kshan Mein Door Kare, Om Jai Jagadish Hare |
Jo Dhyaave Phal Paave, Dukh Binse Mann Kaa,
Swami Dukh Binse Mann Kaa,
Sukh Sampati Ghar Aave, Bansari wala Ghar Aave,
Kasht Mite Tan Kaa, Om Jai Jagadish Hare |
Maat Pita Tum Mere, Sharan Gahoon Main Kiski,
Swami Sharan Gahoon Main Kiski,
Tum Bin Aur Na Dooja, Prabhu Bin Aur Na Dooja,
Aas Karoon Mein Jiski, Om Jai Jagadish Hare |
Tum Pooran Paramatam, Tum Antaryami,
Swami Tum Antaryami,
Paar Brahm Parameshwar, Paar Brahm Parameshwar,
Tum Sabke Swami, Om Jai Jagadish Hare|
Tum Karuna Ke Sagar, Tum Paalan Karta,
Swami Tum Raksha Karta,
Main Murakh Khal kaami, Main Sevak Tum Swami,
Kripa Karo Bharta, Om Jai Jagadish Hare|
Tum Ho Ek Agochar, Sabke Praan Pati,
Swami Sabke Praan Pati, Kis Vidhi Miloon Dayamay,
Kis Vidhi Miloon Dayamay,
Tum Ko Main Kumti, Om Jai Jagadish Hare|
Deen Bandhu Dukh Harta, Thakur Tum Mere,
Swaami Rakhshak Tum Mere,
Apne Haath Uthao, Apni Sharan Lagao,
Dwaar Padha Main Tere, Om Jai Jagadish Hare|
Vishay Vikaar Mitaao, Paap Haro Deva,
Swami Kasht Haro Deva,
Shraddha Bhakti Badhao, Shraddha Prem Badhao,
Santan Ki Seva, Om Jai Jagadish Hare|
Om Jai Jagadish Hare, Swami Jai Jagadish Hare,
Bhakt Jano Ke Sankat, Daas Jano Ke Avgun,
Kshran Mein Door Kare, Om Jai Jagadish Hare|
0 Comments